Вступление
Intro :
Yeshu Masih tere jaisa hai koi nahin
Tere charano mein jhuke aasman
Aur mahima gaaye zameen (2)
Hum gaaye hosanna
Tu rajaon ka hai raja
Teri mahima hove sada
Tu hai prabhu, humara khuda (2)
Pyaare pita tune humse itna pyaar kiya
Hume paapo se churaane ko
Apne bete ko kurban kiya (2)