Вступление
**********************************************************
* Hindi Movie: Saagar (1985)
**********************************************************
[Intro]
Sach mere yaar hai bas wohi pyaar hai
jiske badle mein koi to pyaar de
baaki bekaar hai yaar mere, ho yaar mere
Sach mere yaar hai bas wohi pyaar hai
jiske badle mein koi to pyaar de
baaki bekaar hai yaar mere, ho yaar mere
[Verse 1]
Jis haath mein ik haath hai us haath ki kya baat hai
kya faasle, kya manzilen, ik humsafar gar saath hai
jiski kismat koi yoon savaar de
wohi hi dildaar hai yaar mere, ho yaar mere
[Verse 2]
Jhoome zameen, jhoome gagan, tere liye hoke magan
Khilte rahein, sapne tere, mehka rahe dil ka chaman
Zindagi tujhko aisi bahaar de
Dil ki pukaar hai yaar mere, haan yaar mere
[Verse 3]
Sunte the hum, ye zindagi, gham aur khushi ka mel hai
Humko magar aaya nazar, ye zindagi wo khel hai
Koi sab jeete, sab koi haar de
Apni to haar hai yaar mere, haan yaar mere
[Verse 4]
Sach mere yaar hai bas wohi pyaar hai
jiske badle mein koi to pyaar de
baaki bekaar hai yaar mere, ho yaar mere
[Outro]
La la la la la - la la la
La la la la la - la la la
La la la la la - la la la
La la la la la - la la la
La la la la la - la la la